Tag Archives: sd burman
Nanhi kali sone chali :Geeta Dutt
Javed Akhtar on Nanhi kali….Bahut si loriyaan maine aisi suni hain, aur badi popular bhi hui (hain), ki mujhe aisa laga ki ma agar bache ko lori sunaaye, to pehle to kam-se-kam teen saal classical sangeet seekhe, tab yeh lori ga sakti hai, usmein itni meend, itni mudkiyaan, itni harkaten (hain)!
Lekin yeh dekhiye, yeh music director (SD Burman) jo kisi bhi tarah ka gaana bana sakta tha, jab ek lori bana raha hai ‘Sujata’ ki, ‘Nanhi kali sone chali, hawa dheere aana’, itne limited notes pe hai, itni simplicity ke saath hai, chaahe uska mukhda, chaahe uska antara. Yeh ek master (wizard) hi kar sakta hai! Jise apne fun (art) pe poora control aur confidence ho, ki ‘Itna kaafi hai’.
Aur, ‘Yeh itna kaafi hai’ ka jo yakeen tha, woh aapko SD Burman mein bahut jagah milta hai.
Song played: ‘Nanhi kali’.
(Source: ZEE CINEMA – Classic Legends)
>pic courtesy :Rajesh kumar singh
>info :Moti lalvani